![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
![]() |
| Radio and TV | P-TUBEPro | P-Army Game | Sudoku 2009 | P-LDManager | Invite Friends | P-Guestbook | P-Album | P-Calendar | P-Groups | P-SiteMap | Who's Online |
|
|||||||
![]() |
|
|
LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
|
||||||||||||
|
Re: ~*~Image Designing ~ Tips n Tricks ~*~
aik choti si tip batani thi....
some times aisa hota hai keh ham Inpage mein text likh kar jab Photo shop mein import karwatay hain tu us ka size hamari image kay lihaaz say saHIH nahin hotaa..... kabhi bara hota hai tu kabhi kuch zyada chota ho jata hai..... is kay liye aap ko dobara Inpage say Font size bara karnay ki aur phir usay dobara export karnay ki zuroorat nahin hai.....karna sirf yeh hai....keh jo size aap ko sahih nahin lag raha..... us EPS file ko close kar kay .....dobara photoshop mein open karain .....aur Ok karnay say pehlay Resolution ki window mein jahan 72 likha ho.. agar size increase karna ho tu change kar kay 100 kar dain ... ya is say bhi zyada aur agar size decrease karna ho tu 72 say 50, 60 ya apni marzi say kuch likh dain..... aur phir copy kar kay us image per paste kar lain jis per aap ko designing karni ho.... @@@@@@@@@@@@@@@@@@@ aaj kal brushes buht use hotay hain mukhtalif tarah kay....yeh brushes aap Photoshop say related sites say download kar saktay hain....... brushes ko add karnay ka tareeeqa yeh hai keh aap nay jahan photoshop install kia hai us directory mein jaaien....... aur Presets kay folder ko open karain...... phir brushes kay folder ko open karain aur wahan apnay downloaded brushes ko paste kar dain....... Photoshop agar pehlay say open ho tu aaap ko photoshop restart karna hoga ....... F5 press karain aur brush select kar kay use karain..... yeh brushes hain ....hain naaa yeh khud ba khud extract nahin hotay photoshop mein .....na hi open hotay hain..... brushes ko add karnay ka tareeeqa yeh hai keh aap nay jahan photoshop install kia hai us directory mein jaaien....... aur Presets kay folder ko open karain...... phir brushes kay folder ko open karain aur wahan apnay downloaded brushes ko paste kar dain.......(extract karnay kay bad) Photoshop agar pehlay say open ho tu aaap ko photoshop restart karna hoga ....... ab brush per click karain ... aur F5 press karain ...... ab brush load karna hai ![]() ![]() photoshop brushes ki directory select karain...... aur select karain man pasand brushes.... ![]() is kay bad shayed aik aur msg aaye...... OK ya append karnay kaaaa....... agar aaap ko sirf yeh frame brushes chahiyeN tu aap OK kar dain aur agar aap chahain keh yeh brushes bhi baqi manda brushes kay saath shamil ho jaien... tu aap Append kay option per click kar dain........ ab jab aap F5 press karain ge.... tu aap ko apnay past kiye hoye brushes bhi nazar aayen gay... unhain selct kijiye aur use kijiyeee.......
__________________
Last edited by *Rida*; 6th August 2009 at 10:22. |
|
||||||||||||
|
Re: ~*~Image Designing ~ Tips n Tricks ~*~
Quote:
Pohotoshop and Paint shop for designing |
|
||||||||||||
|
Re: ~*~Image Designing ~ For New Designers ~*~
kis layer per kia kaam kia howa hai yeh jannay kay liye aap layers ko invisible kar kay dekhtay hian... aur phir matlooba layer thori talash kay bad aap ko milti hai...... is mein thora sa time bhi waste ho jata hai.....aur thori si uljhan bhi hoti hai.... agar aap zyada layers per kaam karain.....au aik well organised aur khobsorat kaam amoman zyada layers per hi kia jata hai.......
main aaj is preshani say bachnay ki tip share kar rahi hoon..... ![]() is layer label ko change kar saktay hain..... is per double click /(Right Click kar kay properties menu mein rename layer kay option per click) kar kay open honay wali window mein apni merzi say koi naam likh kar ......jo bhi image aap nay is layer per banai ho us kay mutabiq..... yeh kaam us waqt bhi kia ja sakta hai jab aap koi new layer add karain ![]() ![]() jab ham frame banatay hain tu amoman buht zyada layers ka istemal kia jata hai......jab layers ki tadad buht zyada ho jai tu layers kay darmiyaan move karnaay mein bhi problem hoti hai......aisay mein renaming kay ilawa bhi aik tareeqa ikhtiyar kia ja sakta hai....woh hai gruoping....... Frames , poetry, image (image merging mein use honay wali layers..) ko catagorize kia ja sakta hai.....is kay liye jin layers ko grup karna ho un layers ko CTRL + CLick kay zariye select karain......aur CTRL + G press karain.... groups ko bhi same layers kay tareeqay say rename kia ja sakta hai.....
|
|
||||||||||||
|
Re: ~*~Image Designing ~ For New Designers ~*~
Miss Rida Hamaisha Khosh Rahin Ap ka Batany Ka Andaz Boht Alla Hay or ous par Pochay Gay Sawalat K jawabat Day kar app Hamary Ilm Main Bohat Izafay ka Baies Banti Hain ALLAH AP K ILM main izafa Farmayy Ameen
|
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 2 (1 members and 1 guests) | |
| Dia fayyaz |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|